Teri dhadkan ko apne dil me basaya maine,
Hadd-e-wafa tak ishq nibhaya maine,
Tujhe fursat hi nahi mujhko kare yaad kabhi,
Teri har baat ko yaadon me sajaya maine,
Tapish-e-ishq me jalta hun mai tanhaa tanhaa,
Tere har sitam ko apna banaya maine,
Tujhe ehsaas nahi ishq to karun mai kya,
Teri be-rukhi ko bhi sine se lagaya maine,
Muddaton baad bhi tanhaa hi basar karta hun,
Teri us ishq pe abhi bhi jeeta marta hun,
Ab to ye jaan bhi labon se bas nikalne ko hai,
Tere chilman se kafan apna banaya maine.
|